fbpx

How to Learn English Easily in Hindi?

Book your free English live
session with mentors

English easily learn kare

Kya aap ki English communication skills weak hai? Do you feel embarrassed while speaking in English? Does it make you lose confidence in yourself? Humare desh mein bahaut saare log hai jo confident nahi hai about their English speaking skills ko leke confident nahi hain. English ko learn karna itna mushkil nahi hai jitna aap soch rahe ho. Ek acha फ्री इंग्लिश स्पीकिंग कोर्स aap ko English bolne mein bahaut confident bana sakta hai. Iski sabse achi baat hai ki aap ko zyada time invest bhi nai karna padega. Toh agar aap bhi self-conscious feel karte ho, then you can learn English through Hindi. Here are some tips that can help you learn English for free:

 

1. Shuru se Shuru Karein

Learning English is not very difficult. Sab se pehle aap ko iss bhasha ke basics samajhne ki zarurat hai. Ye zaruri nahi hai ki aap ko tenses, prepositions, pronouns, etc., jaisi cheeze samajhne se hi English boli aegi. It is best to learn English for free from websites jo aap ko easy sentences seekhne mein help karte. Ek baar aap English bol ne mein aasani ho jayegi, tabhi aap English step-by-step aage seekh paenge. Agar aap English learn karna chahte hai ek proper way main toh neeche diye points note karein:

  • How to speak in English abroad?
  • Common phrases kaise bolte hai? For example – How are you? What is your name? Where is the nearest train station?
  • Everyday use wale English sentences kaise bole jaate hai
  • Kaunse words bolne mein easy hain.

 

2. English Mein Zor – Zor se Baat Karien

If you feel shy speaking in English then the right way of learning for you is to get past this inhibition. Agar aap ke grammar concepts clear hai, toh English main baat karna mushkil nahi hai. It only means that you need to build confidence in yourself. The most beneficial way to do so is by speaking out loud. You can be alone in your room. Some people even sing loudly in English to improve their communication skills! Aise aap English aasani se seekh sakte hain.how to speak in English properly. Apne close friend, cousin ya fir koi aur family member ke saath bhi English bolne ki practice kar sakte hai. Isse aap dono English speaking learn sakte hai ek sath.

 

3. Simple English Read Karein

Har bhasha mein kuch words aur phrases traditional way mein likhi aur boli jaati hai. Inka usage daily speaking mein nahi hota. Agar aap English speaking step-by-step seekh na chahte hai toh difficult books se start nahi kariye. Children’s reading books, tea-time magazines, etc., main English bahut basic way main likhi jaati hai. Iske peeche reason ye hai ki har type ke individuals inn books ko padh paye. Agar aap ke paas ye books offline nahi hai toh niraash matt hona. Aajkal internet pe sab kuch mil jata hai. Ek basic search par aap ko simple English books free mein mil jayengi.

 

best spoken English course in Hindi awal madaan

 

4. Apne Aap ko Test Karein Daily

Learning English easily itna bhi asaan nahi hota ki aap isko lightly le. Apni communication skills test karna bhi zaruri hai. Iska best tareeka hai ek free online beginner course kar sakte hai Youtube pe videos dekh. Awal aap ko free video tutorials main help karenge apni English speaking improve karne ke liye. Humare top-viewed free videos se aap ko kaafi knowledge gain hogi aur aap tests bhi de sakte hai. Apne test results se aap pata laga sakte hai ki aap ki growth in learning English kaisi hai. But sab se zaruri hai consistent rehna. Ek ya do tests dene se aap ki English improve nahi hogi. Ye dhyaan main rakhein ki regular oral and written tests se aap ko bahut help milegi.

 

5. Watch English Movies/Show

India ke sabse popular फ्री इंग्लिश स्पीकिंग कोर्स main bhi recommend kara jata hai ki aap English movies and TV shows dekhein. You will improve your dictionary, vocabulary, and sentence formation with the help of these shows. Agar aap ko kuch words samajh main na aaye toh aap unko note down kar lein. You will find the meanings of words, phrases, and idioms online and in printed dictionaries. Jab aap koi movie ya serial dekh rahe ho, tab English subtitles ko on rakhe taaki aap words ko clearly read kar payein.*. Kabhi kabhi kuch sentences bahut fast bole jaate hai. Aise moments main aap pause kar ke slowly words ko padh kar samjhiye.

 

6. Try to Learn English with Images

Hum sab ko bachpan se aadat hoti hai apni native language main soch kar bol ne ki. Be it Hindi, Punjabi, Gujarati, Bengali, aur koi bhi other bhaasha. Par hum koi bhi word bol ne se pehle usko apne mind main imagine kar lete hai. Yehi logic lagakar humien English speaking main fluency banani hai. Agar aap alphabet A ko sochenge toh sabse pehle aap ke mind main apple aega. Yehi example use kar ke aap baaki English ke words bhi pehle image bana kar sochenge toh bol ne main kaafi asaan hogi.

 

7. Mirror ko Dekh Kar English Learn Karein

Jab aap ke basic concepts clear ho jaenge, uske baad bahut important hai apni learning ko ek step aage leke jaane ka. English speaking tabhi ache se ho sakti hai jab aap apna confidence improve karenge. Apne ghar main mirror set up karlein. Chaahe aap ke bedroom main ho ya washroom main, mirror ke saamne khade hoke aap English bol kar practice kar sakte hai. At the beginning, aap ko thoda ajeeb lagega but eventually aap bahut self-confident feel karenge. Ye ek bahut aasan aur useful way hai apni communication skills strong karne ka.

 

8. Himmat Matt Haariye

How to learn English speaking at home ek quick process nahi hai. Isme aap ka kuch waqt lag sakta hai. Ye yaad rakh na bhi hai zaruri hai ki aap ko kuch time dedicate karna hoga. How to learn English speaking at home? – iss sawaal ka jawaab abhi nikaal paenge jab aap apne daily routine main se kuch time apni learning ke liye nikaal lenge. Aisa bhi ho sakta hai ki aap ko positive results na mile. Issi reason se aap ko himmat banaye rakh na bahut necessory hai. Kabhi kabhi aap low feel kar sakte but iska matlab ye nahi ki aap English learn nahi kar sakte! Apne capabilities par doubt matt kariye aur koshish kayam rakhe.

 

Ye tips aur tricks ke saath aap English learning kar sakte hai without paying for a course or getting an instructor.

Agar aap ko fir bhi lagta hai ki aap ki English speaking main improvement ki need hai toh aap humare Spoken English ko course join kar sakte for only Rs. 999 with 6 months validity.

0 responses on "How to Learn English Easily in Hindi?"

Leave a Message

Your email address will not be published. Required fields are marked *

About Awal

Awal is the most loved English coach on Youtube, Instagram and Facebook. His unique style of explaining a concept with simple and interesting examples is super hit among his fans. Learn English With Awal and shine!

top
Copyright © AwalEnglish.com