1. Spoken English Course:
Bilkul basic se le kar advanced level tak sab kuch
English words bolne ka sahi tarika
Sentences banana seekhe, bina grammar rules me uljhe
Do, Does, Has, Have, Had, jaise topics aasani se seekhe
Apni introduction kaise deni chahiye
English me question aur answer kaise kare
Request karna, ya order, invitation, salaah dena seekhe
Kisi se kaam karvane wali baat kaise bole
Could, Would, Should jaise words ka use
English bolte hue common mistakes kaise theek kare
English bolne ka confidence kaise laye
Sabhi English concepts ko mazedaar tarike se Hindi me samjhaya gaya hai, mere tarike se aap kisi bhi age pe English seekh sakte hai
2. Professional English Course:
Email likhne ka sahi tarika
Meeting me kaise English bolni chahiye
Presentation dete hue English me kaise bole
Official phone calls pe English bolne ki alag alag situations
Customers, colleagues aur boss ke saath English bolte hue kin baato ka dhyaan rakhe
Job / Business / Profession mein growth ke liye kayi important tips
Mere 16 years ke job experience ka fayda lein, aur English ke saath saath seekhein success ke secret tips
Dono courses me total 90 se zada recorded video lessons milenge jinhe aap kabhi bhi dekh sakte ho. Yeh lessons 10 se 15 minute ke hai. Examples ke saath aapko English ke saare concepts samjhaye jaenge woh bhi bohot hi achhe tarike se.
Agar aap bilkul bhi English speaking ya writing nahi kar pate ho, par apne kaam me acha perform karna chahte ho, toh ye combo course aap ke liye best hai. Mere Spoken English + Professional English course combo mein step-by-step aapke liye beginner to advanced level tak ke saare concepts clear kare jaenge taaki aapki English poori tarah se perfect ho jaaye.
Har lesson ke end me aapko ek quiz hai jiske sahi answers aapko batane honge. Aapko apna score dekh ke pata lag jayega ki aapki English me kitni improvement hui hai.
Spoken English + Professional English course combo me aapko proper notes bhi milenge jisse aap revision kar sakte ho, woh bhi apni convenience ke mutabik. Ye ek bahut hi useful way hai apni English speaking and writing skills ko improve karne ka.
Humare practice group mein aap doosre students ke saath English bol kar aur likh kar improve kar sakte hai. Isse aap apna confidence bhi build kar payenge. Aap apne English writing ke doubts bhi mentors ke saath share kar sakte hai, kisi bhi time.
Spoken English Course mein 3 levels hai – Beginner, Intermediate, aur Advanced. Har 20 lessons ke baad, exam dene pe aapka ek level cross hoga aur certificate bhi milega. Isi tarah se, Professional English Course complete karne ke baad, aapko course certificate milega jiske baare me aap apne resume me aur LinkedIn par mention kar sakte hai.
Is online English speaking course se koi bhi apni speaking and writing skills improve kar sakta hai. Kuch examples hai un logo ke jinko is course combo se bahut help mil sakti hai:
Students jinko sahi इंग्लिश कैसे पढ़ते हैं seekhna hai
Job seekers jo new opportunities ki search main hai aur इंग्लिश कैसे सीखे इन हिंदी ka easy method dhoond rahe hai
Government aur private companies ke employees jinhe correct English bolne aur likhna ka confidence seekhna hai
Businessmen and entrepreneurs jo apni industry main strong reputation build karna chahte hai
Housewives jo apne daily routine me कैसे सीखें अंग्रेजी easy aur quick way mein
Teachers jo apne students ko English mein padhana chahte hai
Yes. Agar aap English likhna padhna jaante hue bhi fluent English nahi bol sakte, uska main reason practice ki kami hai. Ek acha online English speaking course best way hai apni fluency improve karne ka. Bol bol kar hi English speaking me fluency aayegi, isliye maine har lesson me aisi activities di hai jinse aapki bolne ki practice hogi, aur saath hi saath, practice group se bhi fayda milega.
STEP-1: Spoken English + Professional English Course Combo join karne ke liye, aapke paas 2 options hai - Rs.1799 for 6 months validity and Rs.2599 for 1 year validity. Isme aapko 2 best English Speaking Course in Hindi mil rahe hai, ek special price par! Apni choice ke hisaab se ek select kare aur Buy Now
button pe click karke online payment kare. (Agar online payment nahi kar sakte, to click karo >> Payment Help)
STEP-2: Online payment karne ke baad, next screen pe aapko ENTRI APP ka download link mil jayega.
STEP-3: Online payment karte hi aapka account activate ho jayega aur aapko confirmation ka SMS bhi aa jayega. Agar aap humari team ko contact karna chaho, to uske liye button is page ke end me hai.
NOTE: Yeh Course Combo sirf ANDROID mobile phone users ke liye hai, iPhone wale payment na kare.
Plan select karo:
Winner of Best Education Channel Award at Social Media Summit by the Government of AP (India).
Mera mission hai ki aapko English speaking skills sikha du jisse aapko rozgar mile, zindagi me kaamyabi mile, aur mere online English speaking course se aapke sapne sach ho sake.
Maine yeh English Speaking Courses bilkul alag tarike se banaya hai, taki aapko aasani se samajh aa sake and you can learn English speaking online. Maine apna experience aur padhane ka tarika is fluent English speaking course me daala hai aur mujhe yakin hai ki this is the best English speaking course online.
Agar aap pehle koi English course kar bhi chuke ho, tab bhi Awal's spoken English course join zaroor karo kyuki meri guarantee hai ki padhaane ka aisa tarika aapne pehle kabhi nahi dekha hoga.
Mujhe khushi hai ki maine Bollywood, TV aur Sports ke top celebrities ke saath kaam kiya hai. Ab aapki baari hai, maine aapko angrezi sikha kar aapka level bhi top-class banana hai.
Mai khud ko sirf ek teacher nahi, ek coach maanta hu jo sirf aapko sikhaata hi nahi, aapko training de kar poori tarah taiyaar karta hai. Aap logo ne mujhe Youtube pe bohot pyar diya hai aur mujhe India ka best spoken English teacher online kaha hai, isliye ab maine ek proper fluent English speaking course banaya hai, jisme basic spoken English course se le kar advanced English tak saare lessons ho. Aa jao mere saath best online spoken english classes ke liye, shuru karte hai ek naya safar, aapki kaamyaabi ki taraf!
Demo:
Spoken English Course ke 3 demo clips:
Professional English Course ke 3 demo clips:
Is English speaking course ka fayda lene wale kuch logo se milo. Neechey diye video in sab ne aadhe course me hi record karke hume bheje hai… aap result dekh sakte ho ki now they can speak English!