fbpx

What Role Does Reading Books Play in Learning English?

Books, magazine, stories, newspaper aur na jane kitne sources hain jisko padh kar aap English jaldi seekh sakte hain. English seekhte time aapko bahut se logon ne aisa bola hoga ki books padhna bahut zaroori hai, books padhne se bahut fayda hota hai etc.

Kya aapne kabhi socha hai ki books padhne se aisa kya ho jayega? Books padh ke hum English kaise seekh payenge?

Chaliye main aapko batata hoon ki books padhne se aapko English seekhne mein kaise madad milegi.

 

How do Books help while Learning English?

Books read karna ek brain training exercise hai. Books read karne se aapko sentences aur words ka kaise use karna hain iski training milti hai.

Reading habit humare thoughts ko concisely present karna sikhati hai. Itna hi nahi, books padhte padhte hum English texts ko jaldi samajh paate hain.

Books padhne ke kayi benefits hain jinhe hum aur achchhe se samajhne ki koshish karte hain.

 

1. Stupendous Writing skills

Writing ek art hai. Writing ko improve karne mein sabse important hain aap zyada se zyada read karein. Reading karne se aapki writing mein bahut achchha improvement hoga aur aap bahut achchha likh payenge.

Aisa isiliye hota hai kyunki reading karne se humari vocabulary bahut improve hoti hai aur hum bahut easily sentences frame kar paate hain.

 

2. Escape Unnecessary Mugging of Grammar Rules

Books read karne se hume koi bhi grammar ke rules ko yaad karne ki jaroorat nahi hoti. Hum grammar ke rules ko practically jitna accha samaj saktein hain utna yaad karke kabhi nahi samaj saktein, isiliye ye bahut jaroori hain ki hum books padhe. Reading aapki grammar ki problems ko hamesha ke liye door kar dega.

 

3. Capability to Understand English

English mein likhi gayi baaton ko jaldi samajhna hai to books padhna best option hain. Shuruaat mein kisi bhi language ko samajhna thoda mushkil hota hain lekin books padhne se ye saari mushkil aasaan ho jati hain. Books padhte rehne se aapko English samjhana asaan ho jata hain aur aap kisi bhi text ko asani se interpret kar paate hain.

English texts ko samajh pana ek bahut acchi achievement hain. Agar aap us stage par hain, aapne 50% English already seekh li hain. Isi understanding ka use karke ab aap unhe apna expressions bana sakte hain. Iske alawa aap English mein bole jaane wale batoon ko samaj saktein hain aur unka answer dene ka try bhi kar sakte hain.

 

best spoken English course in Hindi awal madaan

 

4. Develop and Improve Vocabulary

Vocabulary develop karna English seekhne ke liye bahut zyada zaruri hota hai. Yeh writing ke liye bahut important hai.

Vocabulary hone se aap apni baaton ko kam shabdon mein samajh sakte hain. Good vocabulary aapki speaking skills ke liye bhi bahut important hai. Aap English mein baat karte samay appropriate expressions use kar paate hain aur fluently English bol paate hain. Ek tarah se dekha jaye to vocabulary English ka backbone hain.

 

5. Develop Your Thoughts

English mein baat karte time ya koi bhi language use karte time hum apne thoughts ko hi toh express kar rahe hote hain. Books read karne se aapki thoughts process bahut develop hote hain. Hum aksar bahut bade sentences sochte hai aur wo padhte time kafi boring sound karta hai. Jab aap books padhenge to ye sentences aap kam shabodon mein likh sakte hain aur apne thoughts ko concisely present kar sakte hain. Isse aapko apne thoughts ko arrange karke likhna bhi aa jata hai aur aap English ko aur achchhe se samajh bhi paate hain.

Books sabko padhna chahiye. Books sirf aapko English hi nahi sikhate, balki aapko bahut saare life lessons bhi dete hain. Parents apne bachon ko books padhne ke liye encourage kar sakte hain. Agar aap apne aas pass dekhen toh aap payenge ki jo bhi log books padh rahe unka thought structure bahut achchha hai.

 

Conclusion

Reading karna ek bahut interesting process hain. Iss process ko seekhne ke liye aap thoda khud ko time dijiye. Har learning process mein ups and downs aate hain. Inhi ups and downs ko manage kijiye aur aap dekhenge ki aap bhi reading karna enjoy karne lagenge. Aapko Iske alawa apne aap ko reading karne ke liye motivate karna hai aur aapne daily schedules mein reading ke liye kuch time nikalna hai.

“Read books and Enlighten yourself with the light of knowledge.”

0 responses on "What Role Does Reading Books Play in Learning English?"

Leave a Message

Your email address will not be published. Required fields are marked *

About Awal

Awal is the most loved English coach on Youtube, Instagram and Facebook. His unique style of explaining a concept with simple and interesting examples is super hit among his fans. Learn English With Awal and shine!

top
Copyright © AwalEnglish.com