fbpx

This New Year’s Resolution Can Give Your Career Wings 

New Year to us in the beginning of a new journey, new day, new morning where everything seems fresh and new on the first day of a new year. Hum saal ke pehle din ko bahut saari expectations, hopes, naye thoughts, and ideas ke saath dekhte hain. Every year we move forward with this thought that the new year will be far more better than the current year. We constantly involves ourselves in the process of self development and growth. Hum humesha kuch different aur naya explore karne ke baare mein sochte rehte hain. 

Aur har saal New Year ke saath aata hai humara New Year ka resolution jahan hum ye decide karte hain ki. iss saal hum kya naya ya different karenge. New Year’s Resolution is a kind of ritual we never miss to follow. However their validities are not for long most of the time. Hum new year resolution bana toh lete hain, lekin usai lambe time tak follow nahi kar pate. 

Everybody has their own choices while choosing that perfect resolution for which they wait the whole year by saying, “Yaar! Agle saal ke liye mai yahi resolution lunga.” Kuchh logon ka New Year resolution hota hai ki vo apne fitness par dhyaan denge, painting seekhenge, apne parents ke saath jyada time spend karenge, dance seekhenge and so on. Hum humesha kuch naya karne try ki koshish mein lage rehte hain. Toh kyun na iss New Year kuchh naya different resolution try kiya jaye.  

But did it ever strike your mind that why do we make a promise to ourselves at the beginning of a new year? And why does the promise of following a particular thing struggles to survive till the month of February? Don’t worry, we have all your questions answered in this article. With this we will talk about how you can make use of your new year resolution in learning something that will help you in your entire career process. 

 

New Year’s Resolution Lena Kyun Zaruri Hai?

Many people have this question in mind that why they should take a New Year’s Resolution or what is the importance of New Year’s Resolution. Many times people have this question in mind that ye toh hum aise hi kar sakte hain, iske liye resolution lene ki kya zarurat hai. But resolution is important because, when any activity becomes a resolution, we attach a sense of promise and responsibility to it. Jab bhi hum kisi nayi cheez ki shuruaat karte hain, toh humare mind mein usai lekar kaafi saare positive thoughts hote hain, hum uss nayi cheez ko positive energy ke saath approach kar rahe hote hain. 

Similarly when the current year is about to end, we tend to put aside all our past mistakes. All we do is think about how to make a new beginning with a fresh new year. Jo bhi cheezein hum beete saal mein nahi kar paye ya karna chahte the, uske plans hum aage aane wale new year ke liye banane lagte hain. Plans and wishes which used to seem quite impossible in the current years become the resolution for the next new year. We all tend to think that, iss saal nahi kar paaye toh kya hua, agle saal kar lenge. 

The way we welcome everything wholeheartedly with full excitement and vigor, the same way we welcome our New Year with full excitement and positive energy. Technically, the chalendar changes, or the dates changes, but everything seems to look new and fresh with the starting of a new year. Ye nayepan ki feeling hi humein inspire karti hai ki hum aane wale naye saal mein kuchh naya, kuchh alag karein jo humein ek behtar insaan banne mein help kare. Hum apni purani mistakes ko peeche chhodh ke kuchh naya karne ke baare mein sochte hain, isliye har saal New Years par hum ek resolution zarur lete hain. 

 

Iss New Year Khud ko Kaise Upgrade Karein?

Jaise har saal pichhle saal ke muqable update hota hai, vaise hi humein bhi khud ko apna better version banne ke liye upgrade hote rehna chahiye. Har new year jab hum naya resolution lete hain, toh uss upgraded new year ke saath hum ye bhi decide karte hain ki hum khud ko upgrade karke, khud ke better version banenge. Now you might be getting confused that how you can upgrade yourself?

Khud ko upgrade karne se kayi log ye samajhne lagte hain ki materialistic way mein khud ko upgrade karna, jaise naya phone lena, ya naya car, naya ghar, etc. But all these things are materialistic. With these materialistic things you can upgrade your surroundings, but not your personality. Khud ko upgrade karne ke liye apko kuch aisi skills seekhni chahiye jisse aap ki personality upgrade ho, apke career prospects mein growth ho, aur jahan aap apne personal aur professional life mein aur bhi jyada confident ban sakein. 

 

Aapke New Year’s Resolution ke Liye Top Ideas

Naya saal, naya savera, aur naye iraade, isi motto ke saath hum apna new year’s resolution decide karte hain. Har insaan apne apne hisaab se kuchh naya karne ki koshish mein laga rehta hai. New year is not just the beginning of a new date in the calendar, it’s the beginning of a new us. With the new day, the new vigor keeps us motivated throughout and inspires us to do something extraordinary for ourselves. Apne friend circle, even family mein aap notice karenge ki har insaan apne hisaab se kuchh alag resolution lene ke baare mein sochta hai. 

In addition, kisi ko apni fitness se bahut pyaar hota hai, toh vo decide karta hai ki iss new year woh fit rehne ka resolution lega. Kisi ko ghumne ka shauk hota hai, toh woh decide karta hai ki iss new year vo unn jagahon par ghumne jayega jahan vo jaana chahta hai. Kisi ko naye skills seekhne ke shauk hota hai, toh woh new year mein kuchh naya skill seekhne ko apna new year’s resolution bana lete hain. 

Also, dekha jaye toh new year par kuch nayi skill seekhna eh badhiya option hai. Aksar log new year resolution ke naam par khud par limitations lagaane ke baare mein sochte hain, ya koi aisi cheez karne ke baare mein sochte hain jinhe actions mein badal paana unke liye bahut mushkil ho jata hai. Lekin agar new year’s resolution mein hum kuchh naya seekhne ke baare mein decide karein toh ye humari personality mein sirf addition karega na ki kuchh subtract.

Bahut se log apne choice of interest ke hisaab se different different skills seekhne ke baare mein sochta hai, jo unki personality ko enhance kar sake. Koi painting seekhna chahta hai, koi guitar, koi music, koi dance, toh koi esi skill apne personality mein add karna chahte hai, jo uske overall confidence ko boost kar sake aur uske career mein uski help kar sake. Apke confusion ko door karne ke liye, ek best option, ek aisi skill jo apki personality mein chaar chaand laga sake, apke confidence ko boost kar sake aur apke career ko nayi udaan de sake. 

 

Resolution Choose Karne se Pehle, Pay Attention

Many people choose their resolution out of excitement, but these resolutions just become a unfulfilled desires after some months. This happens because we don’t think before making any resolution. Aur yahi reason hai ki year ke start mein liya gaye resolutions february-march tak nahi tikte. Isliye we are going to share with you some of the most important tips jinhe apko resolution choose karte time yaad rakhna hai. Agar aap inn tips ko avoid karte hain, toh there are chances ki apka resolution bhi ek long lost thought bankar reh jayega. 

  • Choose one resolution at a time. Bahut se log ye galti kar baithte hain ki vo ek saath 3-4 new year’s resolution bana lete hain aur fir un mese koi bhi follow nahi karte. 
  • While deciding on any resolution, take into consideration the pros and cons of that particular resolution. For example, kayi log resolution lete hain ki vo dieting karenge aur kayi baar rigorous dieting ki vajah se unki health par galat asar padta hai. Isliye jab bhi koi resolution banaye, uske pros and cons ko achhe se measure kar lein. 
  • Try to choose a career oriented New Year’s Resolution for yourself. Agar aap career oriented hokar sochte hain, toh uss resolution ko poore karne ki dedication aapke andar apne aap develop hone lagti hai. For example, an English course jo apke communication skills build karne mein help karega. 
  • Treat your resolutions not as wishes but your goals of life. Jab hum resolution ko as wish dekhte hain, toh humara interest jaldi lose hone lagta hai. Lekin agar apne resolution ko apna goal bana liya jaye toh usai hum kaafi lambe time tak sustain kar paate hain. 
  • While following any resolution, a proper evaluation of your timely progress is also important. Isliye Resolutions par kaam karne ke saath saath apni progress ko timely evaluate bhi karein. 

 

best spoken English course in Hindi awal madaan

 

Kyun na Learning English Ho Apka New Year’s Resolution

Aaj ke time mein communication is the key. Bina achhe communication skills ke working world mein survive kar paana next to impossible hai. Hum aksar apne career mein grow karne ka try karte hain, aur achhe communication skills uss growth ko push karne ka ek bahut important tool hai. With different MNCs in the market aur ever expanding working world mein English as communication medium bahut important role play karta hai. Aap kisi bhi job interview mein jaayein, ya clients ke saath meeting karein, ya startup plans ke liye investor ko dhundna chahne, English becomes the must requirement. 

Jab English itna important aspect hai apki personality ko enhance karne ke liye, apke confidence ko boost karne ke liye, aur apke career ko ek nayi growth dene ke liye, toh kyun na iss new year’s par english seekhna ki apka new year’s resolution ho.This new year, why not give a chance to learn English. If you want you can join a  English speaking course, with the help of which you can learn English easily. Aaj kal itne online platforms parr best english speaking courses online available hain, jahan aap easily enroll kar sakte hain aur apne iss naye new year’s resolution ko poora kar sakte hain. 

 

Iss New Year English Kaise Seekhein?

Ek baar agar aap decide kar lete hain ki iss new year apko fluently English bolna seekhna hai, toh iske liye raaste apne aap khul jaate hain. Ek bahut hi famous proverb hai, “where there is a will, there is a way.” So if you are determined about learning English this new year, then there are plenty of options available with the help of which you can learn English. Mostly humare resolutions February tak aate aate fade hone lagte hain, aur hum bhi apna interest khone lagte hain, isliye neeche kuchh aise practical ways diye gaye hain jinki help se aap iss New Year Resolution ko bina miss kiye poora kar sakte hain. 

  • Start with listening English songs and music, kyunki gaane humein jaldi yaad hote hain, aur ye humein English seekhne mein bahut jyada help karega. 
  • Make of goal of learning a new word everyday. Iss naye saal ye goal bana lein ki aap roz ek naya word seekhenge aur usai apne daily conversations mein use karenge. Isse apki vocabulary bhi improve hogi aur English seekhne mein help milegi. 
  • Make a daily target for yourselves. Apna daily target set karein ki aap apne daily conversations mein minimum 5 sentences English mein bolenge. Iss daily target ko religiously follow karein. 
  • Set a goal of reading 10 pages of any English book or magazine on a regular basis. Iss activity ko aap chahe raat mein sone se pehle ya subah uthne ke baad kar sakte hain. Lekin daily bina ek bhi din skip kiye iss goal ko follow karein.  
  • Make online platforms and social media as your dear friend. Social Media ki zamaane mein, online platforms join kar sakte hain jahan aap apne friend circle mein English mein discussion kar sakte hain. Isse confidence bhi boost hoga aur saath hi English bolne ki fluency bhi badhegi. 
  • Join an online English speaking courses. Behtar English seekhne ke liye aap best online English speaking courses bhi join kar sakte hain, jahan aap ghar baithe easily online medium ke through English speaking course karke English seekh sakte hain. 
  • Always go for live classes. Recorded classes ki jagah live English classes choose karein, jahan aap bina aalas apni classes attend karke English seekh sakte hain.

Conclusion 

Iss saal aap naye new year’s resolution mein English seekhna chahte hain, aur confused hain ki konsa english speaking course join karein. Toh humare paas hai apke sabhi confusions ka ek behtar solution. Agar aap bhi farrate daar English bolna chhate hain bina atke, toh aap join kar sakte hain Awal Sir ka online spoken English course jahan aapko video classes ke saath saath practice test aur quiz bhi milte hain jinki help se aap behtar English seekh sakte hain. Toh iss new year’s par ek different aur unique new year’s resolution lene ke liye taiyaar ho jaayein.  

0 responses on "This New Year's Resolution Can Give Your Career Wings "

Leave a Message

Your email address will not be published. Required fields are marked *

About Awal

Awal is the most loved English coach on Youtube, Instagram and Facebook. His unique style of explaining a concept with simple and interesting examples is super hit among his fans. Learn English With Awal and shine!

top
Copyright © AwalEnglish.com