Kayi logon ko English bolna bahut challenging job lagta hai. Aur jab English seekhne ki baat aati hai, toh woh confused ho jaate hain ki shuruaat kahan se karein, aur kaise karein. Logon ka ye maanna hota hai ki unke paas resources nahi hai ya woh afford nahi kar sakte, isliye woh English nahi seekh paate. Isliye iss article mein hum kuch aise easy tips discuss karne wale hain jinki help se aap aasani se ghar baithe English seekh sakte hain. Lekin iss journey ke dauran sabse important cheez jo aap ko chahiye woh hai, dedication and desire to learn English.
Some General Tips for Learning English
English seekhte waqt bahut saari general baaton ko dhyan mein rakhna important hota hai. Yahan kuch aise general tips discuss kiye gaye hain jo aapko English sikhte waqt kaafi help karenge, aur inn easy tips ki help se aap English aasani se seekh sakte hain.
Be dedicated and consistent
English sikhte waqt sabse important cheez jo humesha apko English seekhne ke liye motivate karegi vo hai apki dedication. Aur yahi dedication aap ko consistent banne mein bhi help karegi. Agar aap English sikhna chahte hain, toh aapko apne learning process ke dauran consistent rehna hoga. Aapko daily apne aap ko English seekhne ke liye taiyar karna hoga. Dedication aur consistency ek sync mein kaam karte hain. Agar aap dedicated hain, toh aapko consistent bhi hona padega.
Be curious
Agar aap English sikhna chahte hain, toh aapko curious hona padega. Curiosity humare andar kuchh naya seekhne ki aag humesha maintain rakhti hai, aur jab baat English seekhne ki aati hai toh, curiosity is the key. Words ke meanings, sentences ke structure, metaphors ke meanings aur unhe kaha use kiya jata hai, etc., janne ke liye hamesha curious rahein. Agar aapko koi bhi cheez samajh nahi aati hai toh turant google karein, lekin cheezon ko janne ke liye hamesha curious rahein.
Practice daily
Nayi cheezon ke baare mein jaanna aur unhe dekhna hi kaafi nahi hai, balki aapne jo padha hai, uss cheez ki practice karna bhi bahut important hai. Ek bahut hi famous proverb hai, ‘practice makes perfect.’ Agar aap jo seekhte hai usko practice nahi karte, toh seekhna bekar hai. Koi bhi naya word, phrase, ya metaphor seekhein toh usko sentences mein use karne ki practice karein. Practice karein ki aap uss word ko apne conversations mein sahi jagah par use kar sakein. Sirf sochne se hi aap English nahi seekh payenge, English seekhne ke liye aapko daily practice bhi karni hogi.
Be confident
Aksar logon ko ye lagta hai ki unke paas resources nahi hain toh woh kabhi bhi English nahi seekh sakte hain. Ye baat unke confidence ko gira deti hai, aur woh chah kar bhi English nahi seekh paate hain. Lekin nirash na ho, koi bhi cheez itni mushkil nahi ki aap usko seekh na paaye. Iss baat ko dhyan mein rakhein, aur humesha confident rahein ki aap English seekh sakte hain. Starting mein cheezein difficult zaroor ho sakti hain lekin impossible nahi. Isliye English seekhne ke liye apne confidence ko boost karein, aur ye believe karein ki aap English seekh sakte hain.
Create a friends group
Apna ek aisa friend circle taiyar karein jiske sath aap English mein conversation aur discussions kar sakein. Ek aisa friend circle jo aapki tarah English seekhne ke liye dedicated aur curious ho. Iss friend circle ki help se aap roz kuchh naya seekh payenge, aur jo bhi aapne seekha hai uski practice kar sakenge. Friends group ki help se aapki English toh improve hogi hi saath hi aapka confidence bhi boost hoga.
Easy Tips to Improve English Speaking and Listening skills
Jab baat English bolne ki aati hai, toh bahut saare log nervous aur conscious ho jaate hain. Zyadatar log English bolte waqt fumble karte hain, aur jo woh kehna chahte hain, woh nahi keh paate hain. Yahi reason hai ki log kisi bhi public group mein ya audience ke beech bahut hi under confident ho jaate hai, aur publically dhang se interact bhi nahi kar paate hain. Same happens when it comes to learning listening skills, English weak hone ki vajah se English mein fluently kahi gayi baaton ko samajh nahi paate hain. Yahan kuchh aise tareeke discuss kiye gaye hain, jinki help se aap aasani se apne English speaking and listening skills ko improve kar sakte hain. Agar aap apne English speaking and listening skills ko apne jaanne walon se behtar banana chahte hain, toh inn discuss ki gayi cheezon ko apni life ka ek important part bana lein.
Read out loud
Agar aap English fluently bolna chahte hain, toh uske liye sabse aasaan tarika hai ki English mein kisi bhi cheez ko padhte waqt usko loudly padhein. Kisi bhi newspaper, magazine, book, etc., ko padhte waqt usko tez aawaaz mein padhe. Aisa karne se aap ko der tak bolne ki aadat ban jayegi, aur saath hai aapki English bolne ki fluency bhi badhegi. Iss practice ko daily 15-20 minutes karein consistently. Aisa karne se aapko apne English bolne mein improvement jaldi hi dikhne lagega.
Listen to English music
Jab hum kisi bhi cheez ko entertainment ke form mein conceive karte hain, toh humara brain unn signals ko jaldi receive karta hai, aur vo cheezein humein jaldi yaad ho jaati hain. Isi tarah English seekhne ka sabse achha tareeka hai English music sunna. English music sunne se aap easily sentences frame karna seekh sakte hain, naye words, phrases seekh sakte hain, aur jab aap repeatedly uss music ko sunte hain, toh vo apko yaad reh jaata hai. Aap kisi bhi famous Hollywood singers like Ed Sheeran, Justin Bieber, Selena Gomez, Taylor Swift, etc., ka music pick kar sakte hain, aur unhe loop par sunn sakte. Iss tarah aap regular English songs sunne ki aadat dalenge to English bolna apke liye ek bahut hi smooth experience ban jayega.
Watch English movies and shows with subtitles
Jis tarah English music sunne se aapko fluently English speaking and listening skills mein help milti hai, usi tarah agar aap English shows or movies dekhenge, toh aapko naye words, slangs, sentences, phrases, metaphors, etc., seekhne ka mauka milega.Lekin kisi bhi English movie ya show ko dekhte waqt hamesha subtitle onn rakhein. Subtitle onn rakhne se aap dialogues ko aasani se samajh sakte hain, aur unki meanings ko easily extract kar sakte hain. Lekin jaise hi apki shows ke sath, uss shows ke character ke saath rhythm ban jaye, tab aap subtitles ko avoid kar sakte hain. English shows or movies dekhte waqt, uske character ke sath ek connection ban jaata, aur hum character ko copy karne lagte hain. Kuchh achhe English shows jaise Friends, Big Bang Theory, How I Met Your Mother, etc., apko entertain karne ke saath saath apki English speaking and listening skills ko enhance karne mein help karenge.
Listen to Podcasts
English podcast sunna ek aur aisa tarika hai, jisse aap aasani se apne English speaking and listening skills ko improve kar sakte hain. Jab aap podcasts sunte hain, toh apko knowledge ke saath saath English seekhne mein bhi help milti hai. Kisi bhi English podcast ko regularly sunein, aur usai samajhne ki koshish kare. Kyunki jab aap kisi cheez ko apni habit bana lete hain, toh aap usai easily adapt karne lagte hain, aur isi ki help se aap English aasani se seekh sakte hain.
Talk to yourself
Mirror ke saamne khade hokar khud se baat karna ek aisi important practice hai jo apke English speaking skills ko improve karne ke saath saath aapke confidence ko bhi boost karne mein help karega. Aksar log English bolte waqt nervous ho jaate hain, aur stammer karne lagte hain, isliye roj 10 minute nikal kar mirror ke samne khade ho, aur khud se English mein baatein karne ki koshish kare. Agar apko nahi samajh aa raha hai ki khud se kya baatein karein, toh aap khud ko motivate karne ke liye apne goals ke baare mein baat kar sakte hain, aap apne daily tasks ke baare mein plan kar sakte hai, aapne poore din kya kya kiya, ye sab mirror ke samne khade hokar discuss kar sakte hain. Ye daily practice apko apne English speaking and listening skills ko enhance karne mein help karegi.
Easy Tips to Improve English Reading and Writing Skills
English bolne aur likhne mein kaafi difference aa jata hai, kyunki jab hum English padhte hain ya likhte hain, toh grammatical rules ke saath saath humein kayi baaton ka dhyan rakhna padta hai. Isliye spoken English ke saath saath apni English reading and writing skills ko enhance karna bahut important hai. Yahan kuch aise tips discuss kiye gaye hain jin ki help se aap easily apne English reading and writing skills ko enhance kar sakte hain.
Read books in English- apne English reading and writing skills ko enhance karne ka sabse acha tarika hai ki aap English books padhne ki habit banaye. Agar aap reading ke field mein beginner hain, toh short stories se shuruaat kare. Kayi logon ke liye reading ek bahut hi boring task ho sakta hai, ese mein koshish karein ki aap light reading se shuruaat kare, jaise koi short story ya koi short book. Kisi bhi short story ya short book se start karne se apka reading mein interest bana rahega aur ye apke English reading skills ko improve karne mein apki help karega. Ek baar reading khatam karne ke baad, aap uss story ya book ko English mein apne words mein summarize karne ki koshish kare, ye apki English reading ke saath saath English writing skills ko bhi improve karne mein help karega.
Search for new words- Agar aap wakayi mein apni English reading and writing skills ko improve karna chahte hain toh iska sabse acha tareeka hai ki roj kuch naye words seekhain, aur unhe ek diary mein likhna shuru karein. Inn words ko likhne ke baad unn words ke saath sentences frame karne ki koshish kare, jisse aapko pata chalega ki aap ko unn words ko kab aur kaise use karna hai. Ek dictionary apne saath rakhein, aur jaise hi apko koi naya word milta hai, aur uss word ko uski meaning ke saath diary mein note kar lein. Try karein ki word likhne ke baad aap roj ek baar diary palat kar uss word ko dekhein, jisse aapne jo bhi pada hai vo apko yaad bana rahe, aur sahi time time par vo word aapke kaam aa sake.
Make a habit of translating- Apni English reading and writing ability ko behtar banane ke liye aap kisi bhi non-English text ko translate karne ki koshish kare. Agar aap kuch bhi hindi mein ya apni kisi native language mein padhte hain, toh aap uss text ko English mein translate karne ki koshish karein. Ye ek basic rule hai jisse aap easliy English likhna seekh sakte hain, kyunki jab bhi aap kisi bhi text ko English mein translate karenge, toh uss text ki comprehensive meaning apko pata hogi, jisse apka apni English writing skills ko enhance karne ka experience aur bhi smooth ho jayega.
Join online forums and groups- Ek aur behtereen tareeka jiski help se aap apni English reading and writing skills ko enhance kar sakte hain, vo hai ki aap koi online platform join karein, jahan aap apne views ko English mein logo ke samne likhkar present kar sakte hain. Aap kisi bhi online forum ko join kar sakte hain, apne favorite topic ko pick karein, uss topic ko lekar logon ke views padein, aur apne point of view ko English mein logon ke samne rakhein. Agar aap ek active social media person hai toh aap social media par present different discussion groups join kar sakte hain, aur kisi bhi ongoing topic se related apne view points ko social media par present kar sakte hain. Isse aapka confidence boost hoga aur saath saath apko apne English writing skills ko improve karne ka mauka bhi milega.
Maintain a journal- Ek aur esa tareeka jisse apki English writing skills improve ho sakti hain, vo hai journal maintain karna. Agar aap English ko master karna chahte hain, toh ek chhote se step se shuruaat karein. Ek diary ya journal maintain karein, aur usme apne thoughts, ideas, apni daily happenings, apne goals sab English mein note karein. Koshish karein ki ye kaam bina kisi help ke karein yani bina kisi dictionary ko use kare, ya kisi aur source se help liye bina. Agar aap beginner hain, toh bhale hi ek sentence likhne se start karein, lekin ye important hai, ki aap start karein. Dheere dheere ye practice apki habit mein badal jayegi aur ye apko apni English improve karne mein help karega.
Resources to Learn English Easily
Bahut se logon ko ye misconception hota hai ki unke paas proper resources nahi hai, isliye vo English nahi seekh sakte hain. Lekin ye sirf ek excuse hai, kyunki ‘jahan chah hai, vahan raah hai.’ Agar aap wakayi mein English sikhna chahte hain, toh market mein resources ki kami nahi hai. Aap jab chahe, jahan chahe English bolna seekh sakte hai kyunki English seekhne ke liye dedication important hai. Neeche kuch free resources discuss diye gaye hain jinki help se aap English seekh sakte hain.
Youtube
Aaj ke time mein logo ka sabse bada teacher hai youtube. Youtube ek aisa free platform hai jahan plethora of vidoes present hai jinki help se aap bina kisi assistanc ke English aasani se seekh sakte hai. Aap Awal sir ke youtube channel ko bhi join kar sakte hain, jahan aap ghar baithe aasani se English seekh payenge.
Podcasts
Dusra free resource jo apko English seekhne mein help kar sakta hai vo hai podcasts. Podcasts ek free reosource hai jo apko apne phone mein songs app mein bhi mil jayega. Podcasts ki help se aap apne English skills ko enhance kar sakti hai aur vo bhi bina kisi costs ke.
Apps
Market mein kayi esi free apps available hai jinki help se English seekhna aur bhi aasan ho gaya hai. Apko bas apne phone mein kuch mb data kharch karke vo app install karna hai aur uske baad aap uss free app ki help se aasani se English seekh sakte hain.
Websites
Website English seekhne ke liye one of the easiest resources hai. Market mein kayi esi websites hai jo apko English sikhne ke liye free blogs provide karte hain. Ye blogs easily comprehend kiye jaa sakte hain, aur unki help se aasani se English seekhi jaa sakti hai. Aap Awal sir ke Awal English website par jakar bhi English seekh sakte hain vo bhi free mein. Yahan blogs easy language mein likhe hote hain jise aasani se koi bhi samajh sakta hai aur English seekh sakta hai.
English seekhna aaj ke time mein bahut jyda important ho gaya hai. English seekha professional life ke saath saath personal life ke liye important hai. Iss article mein humne kucch ese tips ke baare mein baat ki jinki help se hum aasani se English seekh sakte hai. Lekin agar aap apne English seekhne ke experience ko aur bhi jyda smooth aur interesting banana chahte hain, toh bina der kiye, Awal sir ka Complete English Pack course mein enroll karein vo bhi sirf Rs. 5999 ke special price par.
0 responses on "Learn English with Some Easy Tips"