fbpx

How To Learn English From TV and Web Series

Kayi baar logon ke liye English seekhna bahut hi boring and difficult task ho jata hai. Books padhna, grammar ke rules yaad rakhna, sentence banate waqt verb, tense, etc., dhyaan rakhna bahut hi mushkil kaam lagne lagta hai. Aise state mein ya toh log English seekhna chhod dete hain, ya bina interest ke English seekhne mein lage rehte hain. A lot of them used to fall asleep because they are so bored with the traditional way of learning English. Kya aap bhi unn logo mese ek hain, jo English seekhte waqt so jate hain, aur grammatical rules ko aksar bhool jaate hain? If you are one of these, here we have a very interesting thing to help you learn English easily in a more interesting way. 

To make learning English interesting and easy, the best sources to do it are TV and Web series. Here, we will be sharing some of the best sources and ways to learn English from TV and web series. 

 

How TV and Web Series Help You Learn English?

TV and web series are the best sources to learn English in a more interesting and entertaining way. With this medium, your English learning can be entertaining, cognitive, and effective at the same time. TV and web series ko best medium isliye bhi kaha jaata hai kyunki woh hi ek aise medium hain jo aapko lambe time tak engage karke kuch naya sikha sakte hain. TV series ya web series aapko har tarah se English seekhne mein help karta hai, chahe woh conversational English ho, professional English, vocabulary ho ya storytelling. 

Humara brain iss tarah se trained hai ki jab usko koi bhi baat context aur visuals ke sath sikhayi jati hai, toh woh jaldi seekhta hai. TV series ya web series aapko ek perfect context ke sath visuals provide karte hain, jinki help se aap har ek English word ya sentence ko uske meanings ke saath samajhte hain. Secondly jab bhi aap kisi bhi TV series ya web series mein koi bhi relatable content dekhte hain, toh woh cheezein aapke mind mein ghar kar jaati hain, aur aapko unse related dialogues, words yaad reh jaate hain. Ye sab passive learning ka ek hissa hai, aur passive learning is one of the strongest learnings. Passive learning mein aapka subconscious mind train hota hai. 

 

Types of TV and Web Series to Learn English

TV and web series ki sabse achhi baat yahi hoti hai ki yahan variety of content available hota hai, jinki help se aapka English seekhna aur bhi zyada interesting ho jaata hai. Learners apne interest ke according content pick karke English seekh sakte hain. TV and web industries have different types of series which can help you learn English. Here is a list of types of TV and web series that will help you learn English. 

 

Sitcom 

Sitcom ya situational comedy English seekhne ke liye one of the best sources hain. Sabse achhi baat sitcom ki ye hai ki yahan haste-haste audience bahut si cheezein seekh sakti hai. English sitcoms help you with learning new English phrases, words, and their context. You will also be able to understand and learn the accent, and correct pronunciation of words. English sitcoms aapke andar confidence develop karne mein help karte hain, kyunki vahan present har character aapke liye relatable hota hai, aur aap khud ko uss character mein imagine karne lagte hain. 

Ye saari chhoti chhoti baatein aapke andar vaisa hi confidence develop karti hain. Secondly, English sitcoms aapko sikhate hain ki aapko apne doston ke beech, office mein ya family mein English mein kaise baat karni hai. Besides aapko formal as well as informal body language ke baare mein bhi seekhne ko milta hai. Lekin isme important hai aapki choice, agar aap English seekhna chahte hain, toh sitcom vahi choose karein jisme aapko interest ho.

 

Reality Show

English reality shows are another best medium to learn public speaking skills in English. English reality shows help you improve your spoken English, kyunki jab koi anchor ek show host karta hai, toh woh apna ek style, accent, or body language develop karta hai. English bolne ke liye, sahi pronunciation ke sath-sath accent aur body language bhi bahut important hai. Reality shows ki help se you learn English lekin uske sath-sath aap apna confidence bhi develop karte ho. Aap right hand gestures, kahan use karna hain, kahan nahi, bolne ka tareeka etc. sab seekhte hain, and vocabulary is always a cherry on the cake. 

 

Documentary

A documentary is an English learning source that prepares you for uncertain situations. Documentary ek aisa source hai jo learners ko difficult se difficult English concepts bahut easily samajha sakta hai with the help of visuals. The documentary helps you comprehend the difficult concepts of English with the help of a visual medium which makes the English learning process easy. Secondly, documentaries usually theme-based hoti hain, jinki help se aap kisi particular topic se related naye vocabulary, sentences, phrases, etc., seekhte hain. Also, documentary aapko advanced English seekhne mein bhi help karti hai, jahan aapko advanced English phrases, jargons, etc., bhi jaanne ko milte hain. 

 

News 

Another platform on TV or online that can help you learn English and master it are the English news channels. English news dekhne se aapke do fayde hote hain- pehla aapko apne aas-paas ya globally kya ho raha hai ye pta chalta hai, dusra aapko Professional English seekhne mein help milti hai. English news channel aapko Professional English sentences, phrases, etc., seekhne mein help karte hain, jo aapko aapke workplace mein kaafi help karta hai. English news dekhne se aap nayi cheezon ke baare mein jaante hain, aur unse related new vocabulary, aur sentences bhi seekh paate hain. There is no doubt that watching or listening to English news is one of the best ways to learn English. 

 

Movies

English movies can be watched on TV or online. It will help you learn English. Movies ek aisa source hai jo aapke brain aur senses ko do se teen ghante poori tarah engaged rakhta hai, aur jab koi movie aapko fascinate karti hai, toh aap usko aur bhi zyada interest ke saath dekhte hain.Ye interest aapko help karta hai saare dialogues, words, phrases, etc., par focus karne mein jisse aap passively kuch naya seekh jaate hain. Aur jab aapka interest badhta hai, toh jo English word ya sentence nahin samajh aata, aap usko google par search karke samjhte hain. Also, English movies ek aisa source hai jahan ek hi jagah par aap har tarah ke vocabulary and grammar topics cover kar sakte hain, fir chahe woh conversational English ho ya professional English, slangs ho ya phrases, so pick an English movie according to your taste today.  

 

Talk Shows

English speaking skills aur conversational English ko mazboot karne ka sabse achha tareeka hai ki aap talk shows dekhein. Talk shows ki help se aap English mein baat karne ka tareeka seekhte hain, iske sath-sath aapko apne communication skills, and English speaking skills ko behtar karne mein bhi help milti hai. English talks shows make you understand how to make a conversation interesting in English. Aap apne interest ke according kisi bhi tarah ka talk show choose kar sakte hain. Lekin English talk show vahi choose karein jismein aapko interest ho, aur kuch naya seekhne ko mile.  

 

best spoken English course in Hindi awal madaan

 

List of Best Series and Movies to Learn English

You might be thinking about which series to watch that can help you learn English. To solve this problem, we will share a list of the best TV or web series with you to learn English easily and efficiently. 

 

Friends

One of the well-known American sitcoms worldwide is Friends.The show ended in 2004 after 10 years of successfully making people laugh. Ye sitcom sarcasm, humor, friendship, love, emotions ka ek perfect blend hai. This show is the best sitcom series to learn English, kyunki yahan aapko English ke naye phrases, idioms, words, slangs ka ek full combo pack milega. Iss series se aap seekhenge ki aapko apne doston mein, ya normal situations mein kaise English mein communicate karna hai. The English slang or phrases you will learn through this show will make you look good and smart among your friends, no doubt. Agar aap ek beginner hain, toh ye show aapke liye ek perfect starting point hai to learn English. 

 

The Big Bang Theory

Another super-famous sitcom that can help you learn a variety of new vocabulary in English is the Big Bang Theory. This sitcom will give you a blast of laughter but along with it, it will make your treasure of vocabulary full. English phrases, aur words jo iss show mein use huye hain woh aapko apne doston ke beech kaafi cool bana denge. Itna hi nahi, iski help se aapka confidence bhi build ho jayega.

Game of Thrones

Bhale hi aapko old dynastic theory, battle for throne type shows na pasand ho, lekin ek aisa show jo aap miss nahin kar sakte, woh hai Game of Thrones. Iss show mein aapko Advanced English vocabulary with perfect pronunciation, English idioms, etc. seekhne ko milenge. Though this fantasy show will mesmerize you, it will make you a completely different person in the end in terms of being an English speaker. Iss series ko miss karna can be a mistake jo aap karna nahi chahenge.  

The Office

Agar aapko office mein apne boss ya colleagues se English mein baat karne mein dikkat hoti hai, ya aap khud ko English mein express nahi kar paate, toh this is the show. The office ek type ki documentary hai jahan real life office situations ko lekar baat ki gayi hai. Ye show, kyunki English mein hai, and pure work environment par based hai, toh iss show se aapko Professional English seekhne mein kaafi help milegi. Iss show se aap seekhenge ki apne boss se kaise baat karni hai, presentation kaise deni hai, meetings ko kaise handle karna hai, co-workers se kaise communicate karna hai, etc. Besides, aapko office related words, phrases, sentences bhi seekhne ko milenge. 

Stranger Things

If the sci-fi world gives you goosebumps then this is the show for you. This show involves a group of kids figuring about the parallel universe. Iss show ki achhi baat ye hai ki isme actors ne bahut slowly aur clearly dialogues bole hain jinhe samajhna kaafi aasan hai. Agar aap beginner hain, ya intermediate level par hain, toh iss series ki help se aap easily English seekh sakt hain. 

Up

One of the best English animated movies you will ever watch is Up. This movie about fulfilling your dreams, your loved ones dream at any cost will make your heart melt. Lekin jitni emotional aur heart-touching ye movie hai, utna hi jyada best source to learn English. The best part about this movie is ki ise koi bhi age group ka insaan dekh sakta hai, chahe aap bacche ho, adult, ya bade. Ye movie beginners ke liye best option hai to learn English. 

 

Ways to Learn English From TV and Web Series 

No doubt TV and web series are the best mediums to learn English easily, lekin sirf TV ya web series dekhne se hi aap English nahin seekh sakte hain. Agar aap kuch methods ka use karte hain, toh yaqeenan aap behtar English seekh sakte hain. Here are some ways to learn English from TV and web series. 

 

Catch new words

English TV ya web series dekhte waqt aapko kayi baar aisa lagega ki, ‘ye word kya hai?- ye toh pehle kabhi ni suna.’ Toh samajh lijiyega ki yahi woh word hai jise aapko catch karna hai. Jab bhi aapko lage ki ye word aapne pehle kabhi nahi suna hai, toh turant video ko pause karein aur uss word ka meaning google karein, aur ek diary ya copy mein uss word ko uske meaning ke sath note kar lein. Firr uss video ko rewind karke dobara se dekhein, kyunki aapko uss word ka meaning iss baar pata hoga, toh woh TV ya web series ab aapko zyada samajh aayegi. 

Jab bhi aap koi English documentary ya sci-fi movie ya series dekhenge, toh vahan aapko zyada naye words seekhne ko milenge. Starting mein ye process bahut hi tiring aur irritating lag sakta hai, lekin series khatam hone ke baad jab aap realize karenge ki aapne kuch naya seekha hai, toh you will feel satisfied. But don’t forget to use the new word you have learned in your daily conversation. 

 

Read the Subtitles

Initially, jab aap koi English TV ya web series dekhte hain, toh aapka brain kabhi-kabhi uss pace ko catch nahi kar pata hai, aur woh English accent bhi aapko easily samajh nahi aata hai. Aise case mein, the best way to learn English is to read the subtitles. Subtitles aapko series ya movie ke flow ko catch karne mein, aur English accent ko samajhne mein help karte hain. When you read any subtitle, your mind gets trained for two skills- reading and listening. Aap subtitles mein jo bhi padh rahe hain woh sab aapko audio mein sunayi de raha hai. Iski wajah se aap jo bhi kuch naya seekhenge aapka brain usko humesha yaad rakhega. Once you start understanding the accent of the characters in the series or movies, try to watch it without subtitles. Kyunki jab aap subtitle off kar denge, toh aap aur bhi zyada focus ke saath cheezon ko samajhne ki koshish karenge. 

 

Watch TV in Your Free Time

Apne daily schedules mein, jab aap apne sabhi important kaam khatam kar lein, toh thoda waqt TV dekhne ke liye nikale. Jab aap apne free time mein TV dekhenge, toh aapka entertainment bhi hoga, aur aap usme kuch naya bhi seekh payenge. Jab din mein se thoda time free nikal kar aap TV dekhte hain, toh bhale ki aapka intention sirf entertain hona ho, lekin passively hi aap bahut kuch seekh bhi rahe hote hain. Whatever gets fed into your subconscious mind becomes a passive medium that helps you in learning English easily. But this also requires you to have a curious mind. 

 

Watch Episodes Repeatedly

Kayi English TV shows ya series aise bhi hote hain jo ek baar mein aasani se samajh nahin aate. Iska sabse major reason hota hai unki fluent English, accent and vocabulary, jise samajhne ke liye humein kisi bhi particular episode ko baar-baar dekhne ki need hai. Jab humein koi episode samajh nahi aata aur hum use baar-baar dekhte hain, toh har baar humein kuch naya seekhne ko milta hai. Our mind is trained in a way that jo bhi cheezein woh  baar-baar dekhta hai, woh permanently feed ho jaati hain. Because when the English words and sentences are complemented by the visuals, the impact becomes 10x times better. Besides that, we are also able to catch new English words or phrases by watching an episode repeatedly. Doing this will help you understand the episode better as well as your English will improve.

 

Watch One Episode At a Time 

This is the most important thing which must be kept in mind while watching any TV or web series. Aaj ke time mein binge-watching is a cool culture but for learning English, it’s not worth it. Agar aap kisi bhi web series to binge watch karenge, toh aapka brain ek point ke baad nayi information retain nahi kar payega. Aise mein aapke kuch bhi naya seekhne ke chances negligible ho jayenge, aur jo bhi aapne seekha hoga woh sab aap bhool jayenge. Isliye it is recommended ki aap jab bhi koi TV ya web series dekhein, toh ek baar mein sirf ek hi episode dekhein. One episode at a time will help you learn English easily from any TV show or web series.

 

Watch more Educational Content

Another best way to learn English from TV or web series is by watching more educational content based shows on TV. Research says that watching educational content on TV is the best way to learn any language. Aap jis bhi field mein interested hain usse related content English language mein dekhein. Agar aap apne favorite subject ko English mein padhte hain, toh aapko English seekhne mein zyada aasani hogi kyunki aap uss subject se related content bahut interestingly sunenge. Secondly, jab aap apne favorite subject ko padhne ke liye English medium ka sahara lete hain, toh aap uss subject se related naye concepts ke sath-sath usse related nayi vocabulary and phrases bhi seekhte hain. 

 

Repeat the Dialogues

Jab bhi aap koi nayi cheez seekhte hain, toh uski jitni zyada practice karte hain, utna hi usme behtar hote jaate hain. As it says, ‘practice makes perfect’, isi tarah aap jo bhi TV ya web series dekhte hain, uske dialogues repeat karein. English TV shows, movies, ya web series mein se apne favourite dialogues ko pick karein aur mirror ke samne uss dialogue ko baar-baar repeat karein. English dialogues ko baar-baar repeat karke aap apne English speaking skills ko enhance kar sakte hain. Baar-baar jab aap unn dialogues ko repeat karte hain, toh aapke andar vahi same confidence develop hota hai, jo uss actor ke andar tha. This confidence helps you speak English fluently in front of people. 

 

Skills You Improve by Learning English From TV or Web Series 

Jab aap English seekhte hain, toh apne kayi skills ko improve karte hain. Isi tarah jab aap TV ya web series ke through English seekhte hain, toh aapki kayi skills improve hoti hain, jaise listening, writing, speaking, and grammar and vocabulary. 

 

Listening Skills

The most important skill that we improve while watching any English TV show or web series is the listening skill. Jab bhi hum koi English TV show ya web series dekh rahe hote hain, toh humara poora focus dialogues sunne mein, aur scenes par hota hai. Kya aap kabhi movie ke dauran baat karte hain, ya dialogues ignore karke apne khud ke dialogues bol rahe hote hain? The answer is no, kyunki vahan aap listening skill ka sabse zyada use karte hain aur poore focus ke saath sab sunte hain. So, by watching TV movies/shows or web series, you can improve your listening skills very efficiently. 

 

Speaking Skills

Another skill that can be improved by watching TV or web series is your English speaking skills. Kya aapke sath aisa hota hai ki jab bhi aap TV par kisi actor ko dialogue bolte dekhte hain, toh aap khud ko uss actor ki jagah imagine karne lagte hain? Agar haan, toh apni imagination ko reality mein badlein. Stand up and face the mirror, deliver the dialogue with the same energy and confidence that the actor possessed. Ye practice ek baar nahi, har baar karein jab bhi aapko koi English dialogue pasand aaye. Ye practice aapke confidence ko boost karegi, aur fluently English bolne mein aapki help karegi. 

 

Secondly, aapne jo bhi episode ya movie dekhi hai, uski story apne doston ko sunayein. Make sure you tell them the story in English, because this will help you express your understanding of it better in English. Iske sath-sath aap jo story sunate waqt movie ya episode mein use huye dialogues, unique words, aur phrases ko bhi add karein. Aisa karne se aapko unka context samajh aayega aur sath mein unke meaning bhi. So, make a habit of talking in English to your family and friends to improve your English speaking skills.  

 

Writing Skills

Another important thing which you can improve while watching any TV or web series is English writing skills. Jab aap koi bhi series dekhte hain, chahe woh sitcom ho, movie ho ya documentary, aapko realize hoga ki teeno ke story ya plots alag-alag tarah ke hain. Ye understanding aapko creative writing mein bahut zyada help karegi. Initial level par, jab bhi aap koi series dekhein, dekhne ke baad uske episode ko ek diary mein apne tareeke se English mein likhein. Aisa karne se aapki writing skills develop hogi. Ek baar aapki writing skills develop ho gayi, uske baad aap khud se kuch creative likhna shuru karein. In this way, you can efficiently improve your English writing skills.

 

Vocabulary and Grammar Skills

One of the most important skills that you will develop while watching any TV or web series is English vocabulary and grammar. Jab bhi aap koi English TV ya web series dekhte hain, toh aapko naye words, phrases sunne ko milte hain. Inn English words ya phrases ke baare mein ya toh aapne pehle kabhi suna nahi hota, ya aapko unke meanings nahi pata hote. Aise mein, the best opportunity for you is to learn new English words or phrases without getting bored. Naye words aur phrases ko sunein, unki meaning dhoondein, aur apni grammar skills par bhi kaam karein. Make sure ki aap unn words ya phrases ko apne conversation mein kahin na kahin meaningfully use karein. 

 

Quick Tips to Learn English from TV Series 

Till now we have discussed some major ways through which you can learn English from TV or web series, but there is something more to it. Bahut si chhoti-chhoti baatein aisi hoti hain jinhe hum aksar nazarandaz kar dete hain. Here we will share those small tips which you should not avoid while learning English from any TV or web series. 

 

  • Give your full focus and attention to any TV or web series you are watching. Koi bhi series dekhte waqt multitasking avoid karein, kyunki vahan par learning ka purpose destroy ho jaata hai. Isliye make sure ki series dekhte waqt aap sirf series hi dekhein. 

 

  • Listen to the dialogues very carefully. Dusri sabse zaruri baat jis par aapko dhyaan dena hai, woh hai ki sabhi English dialogues dhyaan se sunein. American ya British English accent ko catch karne ke liye baaton ko dhyaan se sunna bahut zaroori hai, otherwise aap important cheezein miss kar denge.

 

  • Choose the series according to your level. Har insaan ka apna ek specific taste or interest hota hai. Lekin jab baat TV ya web series se English seekhne ki aati hai, toh aapko apne level ke according series choose karni chahiye. 

 

  • Always watch any English TV or web series in its original audio format. Bahut se log ye sochte hain, ki series hum Hindi language mein dekh lenge aur subtitles English mein padh lenge. Lekin ye galat hai, kyunki isse aapka na toh pronunciation sudhrega, aur na hi aap kuch naya seekh payenge. 

 

Conclusion 

Hum ummeed karte hain ki iss blog ko padhne ke baad ab aap jab bhi koi English TV ya web series dekhenge toh har baar English se related kuch naya seekhenge. Ya agar aap naye hain, toh Engish TV ya web series dekhna shuru bhi karenge, aur naya seekhenge bhi. If you want to learn English efficiently and acquire fluent English speaking skills, then Awal Sir’s Spoken English Course is waiting for aspiring people like you. So, without thinking for a minute, join the course and master English speaking skills easily and efficiently. 

 

0 responses on "How To Learn English From TV and Web Series"

Leave a Message

Your email address will not be published. Required fields are marked *

About Awal

Awal is the most loved English coach on Youtube, Instagram and Facebook. His unique style of explaining a concept with simple and interesting examples is super hit among his fans. Learn English With Awal and shine!

top
Copyright © AwalEnglish.com