Education zindagi ka ahem hissa hai jiski vajah se hum ek behtar insaan bante hain, aisi hi kuch manna hai bollywood ke behtareen comic actor Rajpal Yadav ka. Rajpal Yadav apne jeevan mein education ka ek bahut bada role mante hain jo humein aage badhne ka rasta dikhata hai. Education lena sirf humara adhikaar hi nahi balki humari Zaroorat bhi hai kyunki jab hum educate hote hain toh society educate hoti hai. Agar aap janna chahte hain ki Rajpal Yadav ka education ko lekar logon ke liye kya message hai toh iss video par click karein,
Toh dekha aapne ki kaise Rajpal Yadav education par itna emphasis kar rahe hain especially English seekhne par. Unka manna hai ki pehle humein education leni chahiye fir zindagi mein aage badhna chahiye. English seekhna bhi education ka bahut bada hissa hai jo humein zindagi mein aage badhne mein madad karta hai.
Rajpal Yadav’s Biography
Rajpal Yadav ek Indian film actor hain, jo Bollywood movies mein apne comic roles ke liye mashhoor hain. Rajpal Yadav ko bachpan se hi acting mein interest tha. Unhone apne sapne ko poora karne ke liye National School of Drama (NSD) Delhi mein admission liya, jahan unhone apne acting skills ko improve kiya. Rajpal Yadav ne apni Bollywood film industry mein entry movie “Dil Kya Kare” (1999) se ki, jahan unhone ek chhota sa role nibhaya tha. Lekin unki asli pehchan unhein film “Chup Chup Ke” (2006) mein Chhota Pandit ke roop mein mili, jahan unhein bahut logon ka pyaar mila. Unki epic comic timing aur alag-alag characters ko nibhane ki capability ne audience ka dil jeet liya. Unhone apni brilliant acting skills se audience ko entertain kiya hai aur woh Indian film industry ka important hissa ban gaye hain.
Rajpal Yadav’s Struggle and Success Story
Rajpal Yadav ko life mein bahut saare challenges ka saamna karna pada, jahan ek middle-class family se bahar nikalkar unhe apne passion ko pursue karna tha. Iske saath sabse bada challenge jo Rajpal Yadav ke samne tha vo tha English speaking skills ki kami. Apne personal aur professional life mein challenges ka samna karne ke bawjood, Rajpal Yadav ne kabhi haar nahi maani aur mehnat jaari rakhi. “Chup Chup Ke” ke sath career ki shuruaat karne ke baad Saal-be-saal, Rajpal Yadav ne kai hit films mein kaam kiya, jaise “Hungama,” “Mujhse Shaadi Karogi,” “Main Madhuri Dixit Banna Chahti Hoon,” “Malamaal Weekly,” etc. Rajpal Yadav ke safar se yeh baat saabit hoti hai ki dedication, perseverance aur talent ke saath, koi bhi mushkil ko paar karke success ko haasil kiya ja sakta hai.
Rajpal Yadav Famous Bollywood Movies
- Chup Chup Ke (2006)
- Hungama (2003)
- Mujhse Shaadi Karogi (2004)
- Bhool Bhulaiyaa (2007)
- Phir Hera Pheri (2006)
Rajpal Yadav Famous Movies Dialogues
- Hum koi mandir ka ghanta hain jo koi bhi aake baja jaataa hai?
I am like a bell of a temple that is rung for whatever reason.
- Zindagi ka koi bharosa nahi hai; lekin ek baat ka bharosa hai; life insurance ka.
There is no assurance of life, But one thing is sure; Life Insurance.
- Upar waala bhi kya taqdeer ka paiya ghumata hai … ki raja ko bikhari aur bikhari ke sar pe taj pehna deta hai.
God turns the wheel of fortune so well…. that makes the king a beggar and put a crown on the head of a beggar.
What Do We Learn From Rajpal Yadav’s Message on Education?
Bahut se logo ko lagta hai ki education ka matlab hai kitabi gyaan lena aur achhe marks lana hai. Lekin education ka scope sirf academics tak hi nahi limited hai. Education ka matlab sirf science ya maths padhna nahi, balki jab hum education lete hain, toh humein moral values ke baare mein pata chalta hai, humein apni personality ko behtar karne ka ek achha mauka milta hai, aur iske alava, education ke zarie, hum apne aap ko ek achha insaan bana paate hain. English bhi iss education ka hi part hai jisse seekhkar hum apne communication skills ko aur behtar kar paate hain. English seekhne se hum apni personality ko confidently logon ke samne rakh pate hain. Life mein kitne bhi utaar chadhav kyun na aaye, ek cheez jo humein aage badhne ki himmat deti hai vo hai humara khud par bharosa (self-confidence) jo education se aata hai.
Conclusion
Hum ummeed karte hain ki Rajpal Yadav ke iss message se aap bhi education ko lekar inspire huye honge aur life mein aage badhne ke liye education ki importance ko samajh paye honge. Agar aap apni English speaking skills ko ghar baithe mazboot banana chahte hain toh Awal sir ka spoken English course aapke liye one of the best English speaking courses online hai, jahan aap ghar baithe apni English speaking skills ko improve kar sakte hain.
FAQs
- Rajpal Yadav belongs to which state?
Rajpal Yadav was born and brought up in the Shahjahanpur district of Uttar Pradesh.
- What is the net worth of Rajpal Yadav?
Based on some data, the net worth of Rajpal Yadav is around Rs. 50 crores.
- Who is Rajpal Yadav’s wife?
Rajpal Yadav’s first wife, Karuna passed away in 1991 after which he got married for the second time to Radha.
- How did Rajpal Yadav become an actor?
Rajpal Yadav was interested in acting since childhood. To pursue his career in acting, he took admission in the National School of Drama, Delhi. He started his acting career in 1991 with a small role in the television series “Mungerilal ke Haseen Sapne”.
0 responses on "Education aur English ke Baare Mein Kya Message Hai Rajpal Yadav Ka?"