Kuch kar guzarne ka jazba agar mann mein aa jaye, toh manzil apne aap hi aasan ho jati hai. Aisa hi kuch kar dikhaya Yashoda Ji yani English with Dehati Madam ne, jinhone gaon mein rehkar, mushkil halaton ka samna karke English bolna seekha. Unke English seekhne ke safar mein ek aisi cheez thi jisne sabse zyada unka sath diya, aur unke English seekhne ke experience ko bahut hi aasan bana diya. Iss khaas cheez ne sirf English seekhne mein unki help nahi ki balki unke confidence ko bhi boost kiya. Jis cheez ne Dehati Madam ko English seekhne aur bolne mein help ki uske baare mein janne ke liye click karein iss video par,
Toh dekha dosto, kaise Dehati Madam ne gaon mein rehkar, resources aur classes ki kami hone ke bawajood bhi English seekhi, aur aaj fluently English bol rahi hai. Dehati Madam ki iss jazbe ko udaan di Awal sir ke spoken English course ne jahan har ek concept ko practical tarike se bataya jata hai, aur ye sab aap seekh sakte hain online vo bhi apne phone ki help se. Iss course ke through different aur interesting teaching methods ki help se English seekhna bahut hi aasan ho jata hai. Course mein embedded different types ke video lessons se aapke learning experience smooth aur efficient ban jata hai.
English seekhne ke liye ab aapko kisi physical class mein jaane ki ya moti-moti kitaabein padhne ki zarurat nahi hai. Aaj ke time mein har kisi ke paas smartphones hote hain, aur inn smartphones ko bahut hi smartly use kiya ja sakta hai jahan aap aasani se ghar baithe English seekh sakte hain.
Who is English With Dehati Madam (Yashoda Ma’am)?
English with Dehati Madam ek vo misaal hain jinhone ye saabit kr diya ki agar dil se kisi cheez ko chahe toh purani qaynat use humse milaane ki koshish mein lag jati hai. Gareeb parivar se hone ke bawajood bhi Yashoda ji ne apne sapno ko nahi chhoda. Gharwalo ka support na milna, aur husband ke accident ke bawajood, Yashoda ji ke hausalon ne unka sath nahi chhoda. Unhone Spoken English course ki help se English seekhi aur apna khud ka Youtube channel shuru kiya. Apni fluent English speaking skills ki wajah se aaj unhe ‘Dehati Madam’ ke naam se jaana jata hai.
What Do We Learn From Dehati Madam’s Example?
English with Dehati Madam ke example se humein kayi baatein seekhne ko mili, jaise,
English Knows No Boundaries
Sabse pehla hai ki English seekhne ki koi boundaries nahi hoti. Aap kahi bhi rehkar, kisi bhi samay English seekh sakte hain. English seekhne ke liye age, gender, high class-low class, kuch bhi matter nahin karta, aur duniya mein koi bhi cheez aap ko English seekhne se rok nahi sakti.
English Can Be Learned Anywhere and Anytime
Aap gaon mein rahe ya sheher mein, English kahi bhi rehkar seekhi jati sakti hai, aur kisi bhi waqt seekhi ja sakti hai. English seekhne ke liye aapko kahin jaane ki zarurat nahi hai, balki aajkal sabke paas smartphones hote hain, aur hum kabhi bhi, kisi bhi English speaking channel par jakar videos dekhkar English seekh sakte hain.
Hindi Medium People Can Also Learn English
Aapne chahe Hindi medium se padhai ki ho, ya kisi ICSE school mein, English aisi language hai jo kisi mein fark nahi karti. Hindi Medium wale logon ko English mein bolne mein bahut dikkat hoti hai, aur unhe English seekhna bhi pahad jaisa lagta hai. Lekin agar aap English seekhna chahte hain toh aapko iske liye kahi jaane ki zarurat nahi, balki aap ghar baithe apne available resources ka use karke English seekh sakte hain.
Conclusion
We hope Dehati Madam ke example se aapko bhi English seekhne ki inspiration mili hogi. Personal life ho ya professional, English har jagah kaam aati hai, fir chahe humein logon ke beech khud ko introduce karna ho, ya office mein presentation dena ho. English sirf ek language nahi hai balki humari personality ko enhance karne ka ek aisa tool hai jiski help se hum khud mein bahut confident feel karte hain, aur humari manzilein paana humein aasan lagne lagta hai. Agar aap bhi Dehati Madam ki tarah fluent English bolna chahte hain, aur apne sapnon ko pana chahte hain, toh aap join kar sakte hain one of the best English-speaking courses online yani Awal sir’s Spoken English course.
0 responses on "English With Dehati Madam: Ek Jazba English Seekhne Ka"