Gold and Gold Pro Plan me 1 hour ki class hoti hai.
1 hour ki class me 40 minutes are for topic learning, 10 minutes for English quiz, and 10 minutes of group discussion.
Nahi, har din kuch naya sikhaya jayega jaise Friday ko fun activities ke through English sikhayi jayegi, Monday ko pronunciation training di jayegi, etc.
Yes, reading practice karayi jayegi aur aapko personal feedback bhi diya jayega.
Yes, agar aapko apni classes ke beech me break lena pad jaye due to some unavoidable reasons, toh aap classes ko hold ya extend karwa sakte ho.
Yes, humare expert mentors aapke saare doubts solve karte hain.
In a Gold batch, around 15-18 students hote hain, aur Gold Pro me 5-7 students jinka English level similar hota hai so that sab ek jaisi speed se seekh payein. NOTE: Agar aap 1-on-1 classes lena chahte ho jisme sirf aap aur mentor hote hain, to uske liye humari team ko contact karo. WhatsApp button is page ke bottom me hai.
Telegram group me voice chat ka feature hai jahan aap mentors or learners se live baat-cheet karke apni communication skills improve kar sakte hain.
Hum aapko Beginner se Advanced curriculum 3 months ke course me sikhate hain, lekin agar ap kisi kaaran se English nahi seekh paye ya fir aur practice karna chahte hain to course ka Extension plan lekar classes le sakte hai jiske liye aapko bahut hi nominal fee deni hogi.
Haan, aapko NSDC (National Skill Development Certificate) milta hai, jo Government of India ki entity hai aur job interview me iski zada value hoti hai.
Aapke batch ka ek group banaya jata hai jisme aap apne doubts puch sakte hai.
Humara focus yahi rehta hai ki jitne bhi questions ho, hum sab answer kare aur koi bhi sawaal reh na jaye, lekin agar kisi kaaran se apka sawaal reh jata hai, to aap practice groups mein puch sakte hain.
Classes co-ed hoti hain.
Yes, hai par timings and slots are subject to availability. Iske liye humari team ko contact karo. WhatsApp button is page ke bottom me hai.
Awal sir ki ek special live class hoti hai jisme students ko unse baat karne ka chance milta hai.
Humare saare mentors ko 5+ years ka experience hai, aur bahut saare students ne unse padh ka fluent English bolna seekha hai.
Aap jitne chaahe utne questions puch sakte hain
Mentos dono hi languages ke combination se aapke level ke mutabik aapko English concepts samjhate hain.
Awal sir ne Spoken English course mein English ke saare concepts cover kiye hain from basic to advanced level. Live Classes me aapke mentor sabhi concepts ko samjhate hain aur alag alag activities se aapki practice karwate hain.
Haan, aapko live classes ki recording bhi milti hai.
Aap video call me hand raise ke option par click karke mentor ko inform kar sakte hain ki aap sawaal puchna chahte hai. Fir woh allow karenge ki aap apna questions pucho aur apne doubts clear karo.
Humara ek alag "Placement and Career Growth Course" hai jisme aapko important skills sikha kar job-ready banaya jata hai, however, hum direct placement service offer nahi karte.
Taali humesha do haath se bajti hai, so agar aap bhi discipline ke saath apne mentor ke according English practice karte hai toh aap kuch hi weeks me fluently English bol payenge. Humari live classes 5 years se chal rahi hain, aur humari classes se bahut saare students ne apna English bolne ka dream pura kiya hai, jo pehle kabhi English ka ek sentence bhi nahi bana pate the, ya fir Hindi medium se schooling karke aaye the. Humare mentor aapko ache se activities karwate hain aur aapke liye available hote hain, isliye course fee refundable nahi hoti, par agar kisi personal reason se aap kuch dino ke liye course ko hold karwana chahte ho to 1 baar aisa kar sakte ho. Isse aapke paise bhi waste nahi honge, aur aapka English bolne ka sapna bhi nahi tutega. Humare course page par demo video bhi hai so that aap course join karne se pehle usko bhi dekh lo.
Bohot log khud se serious nahi ho pate, isliye recorded lessons ko dekhna postpone karte rehte hain, jisse unki success bhi delay ho jati hai. English seekhne ke liye practice important hai, aur har kisi ke ghar me practice karne ka environment bhi nahi hota. Isliye Live Classes me aapko face to face mentor aur learners ke saath alag alag activities se speaking practice karwai jaati hai, so that aapka English bolne ka darr khatam ho jaye, aap confidently and bina hesitation ke fluent English bol paayein. Ho sakta hai recorded lessons dekhte hue aapke kuch doubts ho, aapko live classes me unke bhi answer mil jate hain, so that aapko course ka poora fayda mil sake.